Azmat-e-zindagi Ko Bech Diya
Azmat-e-zindagi ko bech diya
Hum ne apni Khushi ko bech diya
Chashm-e-saaqi kay ik ishaaray pe
Umr ki tishnagi ko bech diya
Rind jaam-o-suboo pe hanstay hain
ShaiKh ne bandagii ko bech diya
Rah-guzaaron pe lut gai radha
Shaam ne baansuri ko bech diya
Jagmagaatay hain wehashaton kay dayaar
Aqal ne aadmi ko bech diya
Lab-o-rukhsaar kay iwaz hum ne
Sitwat-e-Khusrawi ko bech diya
Ishq behroopiya hai aye ‘Saghar’!
Aap ne saadgi ko bech diya

