Muzaffar Warsi SMS, Text Messages and Poems

Page No. 1

Muzaffar Warsi Poems and SMS in Urdu and Roman Urdu

Collection of Latest Muzaffar Warsi Poems, SMS & Text Messages in Roman Urdu and Urdu.

Muzaffar Warsi - Poet

Zakhm-e-tanhai Main Khushbu-e-hina Kis Ki Thi

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi

uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi

waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi

ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi

meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi

ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi

main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi

chor di kis liye tu ne “Muzaffar” duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi

Shola Hun Bharakne Ki Guzarish Nahi Karta

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

shola hun bharakne ki guzarish nahi karta
sach munh se nikal jata hai koshish nahi karta

girti hui diwar ka hamdard hun lekin
charjte hue suraj ki parastish nahi karta

mathe k pasine ki mahak aye to dekhen
wo khun mere jism main gardish nahi karta

hamdardi-e-ahbab se darta hun ‘Muzaffar’
main zakhm to rakhta hun numaish nahi karta

Meri Zindagi Kisi Aur Ki, Mere Nam Ka Koi Aur Hai

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

meri zindagi kisi aur ki, mere nam ka koi aur hai
mera aks hai sar-e-aina, pase aina koi aur hai

meri dharkanon main hai chap si, ye judai bhi hai milap si
mujhe kya pata, mere dil bata, mere sath kya koi aur hai

na gae dinon ko khabar meri, na sharik-e-hal nazar teri
tere des main, mere bhes main, koi aur tha koi aur hai

wo meri taraf nigran rahe, mera dhyan jane kahan rahe
meri ankh main kai suraten, mujhe chahta koi aur hai

Meri Taswir Main Rang Aur Kisi Ka to Nahi

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

meri taswir main rang aur kisi ka to nahi
gher len mujhko sab ak main tamasha to nahi

zindagi tujhse har ik sans pe samajhuta karun
shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi

ruh ko dard mila dard ko ankhen na mili
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi

sochte sochte dil dubne lagta hai mera
zahan ki tah main ‘Muzaffar’ koi dariya to nahi

Mana K Musht-e-khak Se Barhkar Nahi Hun Main

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

mana k musht-e-khak se barhkar nahi hun main
lekin hawa k raham-o-karam par nahi hun main

insan hun dharakte huye dil pe hath rakh
yun dubkar na dekh samundar nahi hun main

chehre pe mal raha hun siyahi nasib ki
aina hath main hai sikander nahi hun main

galib teri zamin main likhi to hai gazal
tere kad-e-sukhan k barabar nahi hun main

Lab-e-khamosh Se Izhar-e-tamanna Chahe

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe
bat karne ko bhi taswir ka lahja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
darmiyan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe

zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baton pe bhi ham fash hona chahe

jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamain
sar chupane k liye wusat-e-sehra chahe

khwab main roye to ehsas ho sairabi ka
ret par soyen magar ankh main dariya chahe

bhent char jaun na main apne hi khair-o-shar ki
khun-e-dil zabt kare zakhm tamasha chahe

zindagi ankh se ojhal ho magar khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe

aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata
ab Khuda-bande se khairiyat-e-farda chahe

aise tairak bhi dekhe hain ‘Muzaffar’ hamne
garq hone k liye bhi jo sahra chahe

Kya Bhala Mujhko Parakhne Ka Natija Nikla

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla
zakhm-e-dil ap ki nazron se bhi gehra nikla

torkar dekh liya aina-e-dil tune
teri surat k siwa aur bata kya nikla

tishnagi jam gai pathar ki tarah honton par
dub kar tere dariya main main pyasa nikla

Ab K Barsat Ki Rut Aur Bhi Bharkili Hai

Posted in Muzaffar Warsi SMS
buzz_button

ab k barsat ki rut aur bhi bharkili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai

sochta hun k ab anjam-e-safar kya hoga
log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai

shiddat-e-karb main to hansna karb hai mera
hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai

gard ankhon main sahi dag to chehre pe nahi
lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai

ghol deta hai samaat main wo mitha lahja
kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai

pahle rag-rag se meri khun nichora us ne
ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai

mujhko be-rang hi na karde kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai

meri parwaz kisi ko nahi bhati to na bhaye
kya karun zehan “Muzaffar” mera jibraili ha

1/11