Ghazal SMS, Text Messages and Quotes

Page No. 6

Chalo Ek Baar Phir Se, Ajnabi Ban Jaye Hum Dono

buzz_button

Chalo ek baar phir se, ajnabi ban jaye hum dono

Na main tumse koi ummeed rakhoon dilnavaazi ki
Na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se

Na mere dil ki dhadkan ladkhadaaye meri baaton mein
Na zaahir ho tumhaari kashm-kash ka raaz nazaron se

Tumhen bhi koi uljhan rokti hai peshkadmi se
Mujhe bhi log kehte hain, k yeh jalve paraaye hain

Mere hamraah bhi rusvaaiyaan hain mere maazi ki
Tumhaare saath bhi guzri hui raaton k saaye hain

Taarruf rog ho jaaye to usko bhoolnaa behtar
Taalluk bojh ban jaaye to usko todnaa acha
Woh afsaana jise anjaam tak laana na ho mumkin
Usey ek khoobsoorat mod dekar chhodna acha

Mausam Hai Barish Ka, Aur Yaad Tumhari Aati Hai

buzz_button

Mausam hai Barish ka,
Aur yaad tumhari aati hai,
Barish kay her ik Qatray se,
Aawaz tumhari aati hai,
Badal jab garajta hai,
Dil ki dharkan barh jati hai,
Aur Dil ki her ik dharkan se,
Aawaz tumhari aati hai,
Jab taiz hawaen chalti hain,
To yaad tumhari aati hai,
Mausam hai Barish ka,
Aur yaad tumhari aati hai.

Baarisho’n K Mausam Main

buzz_button

Yaadai’n jaag jati hyn
Barisho’n k mausam main

Har ghari satati hyn
Barisho’n k mausam main

Shaambhi kisi surat
Chain se nahi kat’ti

Subhai’n bhi satati hyn
Barisho’n k mausam main

Zehen k jharokey main
Jab koi sada ubhrey

Aankhai’n bheeg jati hyn
Baarisho’n k mausam main

Jab Guzar Jaye Gi Bahar to Kia Karo Gay,

Posted in Ghazal SMS
buzz_button

Jab guzar jaye gi bahar to kia karo gay,
Yad aye ga mera pyar tu kia karo ge,
Satate ho aisay jaise ajnabi hon mein,
Jab roth gya tum se tu kia karo gay,
Apnao gay kisi or ko mujhey tanha chor ker,
Usay hoga na tum se pyar tu kia karo gay,
Akhir lout aao gay tum meri rahon pe,
Phir miley ga na pehla sa pyar tu kia karo gay,
Abhi tu hanstey ho meri wafaon pe,
Phir rona bhi ho ga bekar tu kia karo gay.

Maine Usko “SALAAM”

buzz_button

Maine Usko “SALAAM”
Lekh Bheja
Haal.e.Dil “TAMAAM”
Lekh Bheja.
Maine Pocha Tere
“HONT”
Kaise Hain.
Usne Ek Lafz
“JAAM”
Lekh Bheja.
Maine Pocha Tere
“BAAL”
Kaise Hain.
Usne Qudrat Ka
“INAAM”
Lekh Bheja.
Maine Pocha Kab
“MULAQAT”
Hogi.
Usne Qayamat Ki
“SHAAM”
Lekh Bheja.
Maine Pocha Itna
“TARPATI”
Kion Ho.
Usne Jawani Ka
“INTIQAAM”
Lekh Bheja.
Maine Pocha Tuje
“NAFRAT”
Kis Se Hai.
Usne Mera Hi
“NAAM”
Lekh Bheja…

Apni Aagosh Mein Ek Roz Chupa Lo Mujhko

Posted in Ghazal SMS
buzz_button

Apni Aagosh Mein Ek Roz Chupa Lo Mujhko

Gham-e-Duniya Se Meri Jaan Bcha Lo Mujhko

Unko De Di Hy Isharon Mein Ejazat Mein Ne

Maangne Se Na Miloon To Chura Lo Mujhko

Apne Saaye Se B Ab To Mujhe Dar Lgta Hy

Ho Jo Mumkin To Nigahon Mein Chupa Lo Mujhko

Dil Mein Nakaam Tamannao ka Tufaan Sa Hy

Meri Uljhano Meri Wehshaton Se Nikalo Mujhko

Unko Likhna Hy Kisi Roz Ye Khat Mein Jana

Hum To Khud K B Nhi Apna Bna Lo Mujhko.

6/6123456