Ghazal SMS, Text Messages and Quotes

Page No. 1

Latest, Unique and Top / Super Quality Ghazal SMS Collection
in Hindi, Urdu and English

Collection of Latest Ghazal SMS & Text Messages in Hindi, English and Urdu.

Andar Jo Chupke Se Toot Raha Ha

Posted in Ghazal SMS
buzz_button

Jaane kya hai dil ke andar jo chupke se toot raha hai,
Ek meherbaan ka haath jaise hathon se chooth raha hai……
Ankhon mein ashkon ka samandar hai..

lagta hai jaise koi patta shaakhon se toot raha hai……
Ashkon ko Meri Aankhon mein rehne ki aadat si ho gayi hai
Ab toh Jaise Ishq hi mujh se rooth raha hai……

kuchh farmane ki gustakhi kya mai bhi kar sakti hoon
ek masoom jazbat mera bhi zuban se phoot raha hai……
Pal bhar ka pyaar aur barson ka intezaar
jaise koi apna hi apne ghar ko loot raha hai…

Ik Khuwahish He Dil Men Janam

Posted in Ghazal SMS
buzz_button

Ik Khuwahish He Dil Men Janam
Kuch Pagal Kuch Anjani Si
Ho Rat Ka Har Su Sannata
Bs Barish Ki Chan Chan Bole
Ese Men Tm Ho Sath Mere
Mere Pas Mere Nazdeek Bht
Yak Dam Badal Ka Shor Barhe
Men Dar Jaun Ghabra Jaun
Or Pas Tumhare Ajaun
Sr Rakh Dun Tumhare Sine Pr
Or Hath Tmhare Hath Men Ho
Phr Yun Kuch Ho A Jan-E-Jigar
Mera Chehra Hethon Men Le Kr
Tm Meri Ankhon Men Dekho
Or Mujh Se Kuch Ese Bolo
Kio Barish Roz Nahi Hoti?

Na Tha Kuchch to Khuda Tha, Kuchch Na Hota to Khuda Hota

buzz_button

Na tha kuchch to khuda tha, kuchch na hota to khuda hota
duboya mujhko hone ne, na hota main to kya hota

Huaa jab gham se yoon behis to gham kya sar ke katne ka
na hota gar juda tan se to zaanoon par dhara hota

Huee muddat ke ‘ghalib’ mar gaya par yaad aata hai
wo har ek baat pe kehana, ke yoon hota to kya hota

Asadullah Khan Ghalib “Mirza Ghalib”

Koee Ummeed Bar Naheen Aatee

buzz_button

koee ummeed bar naheen aatee
koee soorat nazar naheen aatee

maut ka ek din mu’ayyan hai
neend kyon raat bhar naheen aatee

aage aatee thee haal-e-dil pe hansee
ab kisee baat par naheen aatee

jaanta hoon sawaab-e-taa’at-o-zahad
par tabeeyat idhar naheen aatee

hai kuchch ‘eisee hee baat jo chup hoon
warna kya baat kar naheen aatee

kyon na cheekhoon ki yaad karate hain
meree aawaaz gar naheen aatee

daagh-e-dil gar nazar naheen aata
boo bhee ‘ei chaaraagar ! Naheen aatee

ham wahaan hain jahaan se hamko bhee
kuchch hamaaree khabar naheen aatee

marte hain aarzoo mein marne ki
maut aatee hai par naheen aatee

kaaba’a kis munh se jaaoge ‘ghalib’
sharm tumko magar naheen aatee

Asadullah Khan Ghalib “Mirza Ghalib”

Baaziichaa-e-atfaal Hai Duniyaa Mere Aage

buzz_button

baaziichaa-e-atfaal hai duniyaa mere aage
hotaa hai shab-o-roz tamaashaa mere aage

ik khel hai aurang-e-sulemaan mere nazadiik
ik baat hai ejaaz-e-masiihaa mere aage

juz naam nahii.n suurat-e-aalam mujhe manzuur
juz vaham nahii.n hastii-e-ashiyaa mere aage

hotaa hai nihaan gard mein seharaa mere hote
ghisataa hai jabiin khaak pe dariyaa mere aage

mat puuchh ke kyaa haal hai meraa tere piichhe
tuu dekh ke kyaa rang hai teraa mere aage

sach kahate ho Khudbiin-o-Khudaaraa huun na kyon hoon
baithaa hai but-e-aaiinaa siimaa mere aage

phir dekhiye andaaz-e-gulafshaanii-e-guftaar
rakh de koii paimaanaa-e-sahabaa mere aage

nafrat ka gumaan guzre hai main rashk se guzaraa
kyon kar kahoon lo naam naa us kaa mere aage

imaan mujhe roke hai jo khiinche hai mujhe kufr
kaabaa mere piichhe hai kaliisaa mere aage

aashiq hoon pe maashuuqfarebii hai mera kaam
majnuun ko buraa kahatii hai lailaa mere aage

Khush hote hain par vasl mein yuun mar nahiin jaate
aaii shab-e-hijaraan kii tamannaa mere aage

hai maujzan ik qulzum-e-Khuun kaash! yahii ho
aataa hai abhii dekhiye kyaa-kyaa mere aage

go haath ko jumbish nahiin aankhon mein to dam hai
rahane do abhii saaghar-o-miinaa mere aage

hampeshaa-o-hammasharab-o-hamraaz hai meraa
‘Ghalib’ ko buraa kyon kaho achchhaa mere aage

Asadullah Khan Ghalib “Mirza Ghalib”