Ishq Ka Naas Karo Gi Mujhay Maloom Na Tha
Ishq ka naas karo gi, mujhay maloom na tha
mere palle hi paro gi mujhay maloom na tha
Aik mahine mai kamata hoon jo tankuwa, usse
kharch hafte mai karo gi mujhay maloom na tha
mai ne khaye thi qasam khao ga bas rizq-e-hilal
tum bhi aemaq ho kaho gi, mujhay maloom na tha
zindagi hi mai mujhay dekhna hoga yeh din
muj ko marhoom likho gi, mujhay maloom na tha
eid ke din bhi wohi jang ka naqsa hoga
eid ke din bhi laro gi mujhay maloom na tha
sakt jaani mai bhi niklo gi misal ban kar
maar karo muj ko maro gi mujhay maloom na tha
pata hota to na karta kabhi koi naiki
tumhi jannat mai milo gi, mujhay maloom na tha


