Bahadur Shah Zafar SMS, Text Messages and Poems

Page No. 1

Bahadur Shah Zafar Poems and SMS in Urdu and Roman Urdu

Collection of Latest Bahadur Shah Zafar Poems, SMS & Text Messages in Roman Urdu and Urdu.

Bahadur Shah Zafar - Poet

Bat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi to Na Thi

buzz_button

bat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi

le gaya chin k kaun aj tera sabr-o-qarar
beqarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ki ankhon ne Khuda jane kiya kya jadu
k tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKh-e-yar ne kis se hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tu jo bigarta hai “Zafar” se har bar
khu teri hur-e-shamail kabhi aisi to na thi

Bich Mein Parda Dui Ka Tha Jo Hayal Uth Gaya

buzz_button

bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya
aisa kuch dekha k duniya se mera dil uth gaya

shama ne ro ro k kati rat suli par tamam
shab ko jo mahfil se teri ai zeb-e-mahfil uth gaya

meri ankhon mein samaya us ka aisa nur-e-haq
shauq-e-nazara ai badr-e-kamil uth gaya

ai Zafar kya puchta hai begunah-o-bar-gunah
uth gaya ab jidhar ko waste qatil uth gaya

Dil Ki Meri Beqarari Mujh Se Kuch Pucho Nahin

buzz_button

dil ki meri beqarari mujh se kuch pucho nahin
shab ki meri ah-o-zari mujh se kuch pucho nahin

bar-e-gam se mujh pe roz-e-hijr mein ik ik ghari
kya kahun hai kaisi bhari mujh se kuch pucho nahin

meri surat hi se bas malum kar lo ham-damo
tum haqiqat meri sari mujh se kuch pucho nahin

sham se ta-subah jo bistar pe tum bin rat ko
main ne ki akhtar-shumari mujh se kuch pucho nahin

ai “Zafar” jo hal hai mera karunga gar bayan
hogi un ki sharm-sari mujh se kuch pucho nahin

Hamne Duniya Mein Aa K Kya Dekha

buzz_button

hamne duniya mein aa k kya dekha
dekha jo kuch so khwab-sa dekha

hai to insan khak ka putla
le k pani ka bul-bula dekha

khub dekha jahan k khuban ko
ek tujh sa na dusara dekha

ek dam par hawa na bandh habab
dam ko dam bhar mein yan hawa dekha

na huye teri khak-e-pa ham ne
khak mein ap ko mila dekha

ab na dije “Zafar” kisi ko dil
ki jise dekha bewafa dekha

Ham to Chalte Hain Lo Khuda Hafiz

buzz_button

ham to chalte hain lo Khuda hafiz
butkada ka buton Khuda hafiz

kar chuk tum nasihaten ham ko
jao bas naseho Khuda hafiz

aj kuch aur tarah par un ki
sunte hain guftagu Khuda hafiz

bar yahi hai hamesha zakhm pe zakhm
dil ka charagaron Khuda hafiz

aj hai kuch ziyada betabi
dil-e-betab ko Khuda hafiz

kyon hifazat ham aur ki dhundhen
har nafas jab ki hai Khuda hafiz

chahe rukhsat ho rah-e-ishq mein aql
ai “Zafar” jane do Khuda hafiz

Ja Kahyio Un Se Nasim-e-sahar Mera Chain Gaya Meri Nind Gai

buzz_button

ja kahyio un se nasim-e-sahar mera chain gaya meri nind gai
tumhen meri na mujh ko tumhari khabar mera chain gaya meri nind gai

na haram mein tumhare yar pata na surag dair mein hai milta
kahan ja k dekhun main jaun kidhar mera chain gaya meri nind gai

ai badshah-e-khuban-e-jahan teri mohni surat pe qurban
k main ne jo teri jabin pe nazar mera chain gaya meri nind gai

hui bad-e-bhari chaman mein ayan gul buti mein baqi rahi na fiza
meri shakh-e-ummid na lai sanwar mera chain gaya meri nind gai

ai barq-e-tajalli bahar-e-Khuda na jala mujhe hijr mein shamma sa
meri zist hai misl-e-chirag-e-sahar mera chain gaya meri nind gai

kehta hai yahi ro ro k “Zafar” meri ah-e-rasa ka hua na asar
teri hijr mein maut na ai abhi mera chain gaya meri nind gai

yahi khana tha shero k aj “Zafar” meri ah-e-rasa mein hua na asar
tere hijr mein maut na ai magar mera chain gaya meri nind gai

Khulta Nahin Hai Hal Kisi Par Kahe Bagair

buzz_button

khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair

main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair

kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair

bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair

taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai “Zafar” hai muqaddar kahe bagair

Kije Na Das Mein Baith Kar Apas Ki Bat Chit

buzz_button

kije na das mein baith kar apas ki bat chit
pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit

kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki
ham ne bahut suni kas-o-nakas ki bat chit

muddat k bad hazrat-e-naseh karam kiya
farmaye mizaj-e-muqaddas ki bat chit

par tark-e-ishq k liye izhar kuch na ho
main kya karun nahin ye mere bas ki bat chit

kya yad a gaya hai “Zafar” panja-e-nigar
kuch ho rahi hai band-o-mukhmmas ki bat chit

Na Kisi Ki Ankh Ka Nur Hun Na Kisi K Dil Ka Qarar Hun

buzz_button

na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun

na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun

mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun

paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun

main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun

Pas-e-marg Mere Mazar Par Jo Chirag Kisi Ne Jala Diya

buzz_button

pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya

mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya

dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya

meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya

zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya

main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya

1/212