Anwar Masood SMS, Text Messages and Poems

Page No. 1

Anwar Masood Poems and SMS in Urdu and Roman Urdu

Collection of Latest Anwar Masood Poems, SMS & Text Messages in Roman Urdu and Urdu.

Anwar Masood - Poet

Rat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi

Posted in Anwar Masood SMS
buzz_button

rat ai hai balaon se rihai degi
ab na divar na zanjir dikhai degi

vaqt guzra hai par mausam nahin badala yaro
aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi

ye dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
dekhna phir koi surat na sujhai degi

dil jo tutega to ik tarfa tamasha hoga
kitne ainon main ye shaql dikhai degi

sath ke ghar main bara shor barpa hai ‘Anwar’
koi ayega to dastak na sunai degi

Sun to Sahii Jahaan Main Hai Teraa Fasaanaa Kyaa

Posted in Anwar Masood SMS
buzz_button

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya

zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya

ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya

betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

1/11